Maa Shayari in Hindi
Maa Shayari in Hindi
kaampti awaz main kehti hai beta alvida. samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAA.
jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main. aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAA.
marte dam tak aa saka na bacha ghar pardes se. apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAA.
Suna Suna sa Mujhe Ghar Lagta hai, Maa Nahi hoti toh Bahot Darr Lagta Hai..!!
Tere Bina Main Ye Duniya Chhod to Du, Par Uska Dil Kaise Dukha Du, Jo Roz Darwaze Par Khadi Kehti Hai, “Beta Ghar Jaldi Aa Jana” …
उनका कंधा खुदा ने ना जाने कितना मज़बूत बनाया है.. हमारी ख्वाहिशों को उठाते हुए माँ बाप ने कभी उफ़ तक नहीं किया..!!
Aey Maa Phir se muje mera Bastaa de de, Duiniya ka Diya Sabaq Bahot Muskil bahot hai..!
Khud ko kabhi iss Bheed mai Tanha Nahi Hone Dege, Maa tujhe ham Boodha nahi hone dege..!!
Gaon se aakar Padhne wale Bhool gaye hai, K kis ki MAA ne kitna Zevar Becha tha.!!
Abhi Zinda hai MAA meri, Mujhe Kuch bhi Nahi Hoga, Mai Jab Ghar se Nikalta hoo toh DUA bhi Saath Chalti Hai..!!
Sakht Raaste par bhi safar Aasan Lagta hai, Yeh Meri Maa ki DUA o ka Asar Lagta hai..!!
Aaj Mujhe Aukaat ka Andaaza Hogaya, MAA ne Chuaa Gulaab toh Taaza Hogaya!!
Gin Leti Hai Din Bagair Mere Gujare Hain Kitne, Bhala Kaise Kah Doon Ki Maa Anparh Hai Meri.
Muhabbat Kitni Kisse hai batana hi nahi padta, muhabbat jisse hoti hai wo khud hi jaan jaan jaata hai. Kisi mele me le jaao koi maasoom saa baccha. Hajaaro me bhi apni maa ko wo pahchaan jaata hai….
Meri Galtiyo Ko Wo Maaf Kar Deti Hai, Bahut Gusse Me Hoti Hai to B Pyar Deti Hai, Hotho Pe Uske Hamesha Dua Hoti Hai, Woh koi aur nahi Sirf “MAA” Hoti Hai….
Maine Kal Saari Mohabbat ki kitaabe Fad di, Sirf ek Kaagaz Rehne diya, Jispe likha tha “Lafz e – MAA”
Daastan mere laad pyaar ki Bas aik hasti k gird ghoomti hai Pyaar jannat se is liye hai mujhe Ye meri maa k kadam choomti hai.
माँ ना होती तो वफ़ा कौन करेगा, ममता का हक़ भी कौन अदा करेगा, रब हर एक माँ को सलामत रखना, वरना हमारे लिए दुआ कौन करेगा.
इन आँखों के कारण ही, तुझे दिल ने अपनाया था, ये दिल भी यूँ अक्सर ही, आँखों को भिगाया था चलने को तो मैं भी, चला जाता ज़माने से पर, उस ऊँगली को कैसे भूलता,जो कभी चलना सिखाया था.
Shayad aa jayen woh rona sunkar, Mujhko bewajah rulaa de koi, Maine kayi roz se nahi khaya, Uss mohabbat se khila de koi, Mujhko khwaahish nahi mile duniya, Mujhko meri maa se mila de koi….
Maa teri yaad satati hai, mere paas aa jaao, Thak gaya hoon, mujhe apne aanchal mein sulao, Ungliyaan apni pher kar baalon mein mere, Ek baar phir se bachpan ki loriyaan sunaao…
Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai, Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai.
मांग लूँ यह दुआ कि फिर यही जहाँ मिले, फिर वही गोद मिले फिर वही माँ मिले।
वो लिखा के लायी है किस्मत में जागना, माँ कैसे सो सकेगी कि बेटा सफ़र में है।
Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa, Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.
Maa Pehle Aansu Aate The To Tum Yaad Aati Thi, Aaj Tum Yaad Aati Ho Aur Aansu Nikal Aate Hai.
Mere chehre pe mamta ki farwaani chamkati hai, Main boodha ho raha hoon phir bhi peshani chamakti hai…..!!
दिन भर की मशक़्क़त से बदन चूर है लेकिन, माँ ने मुझे देखा तो थकान भूल गई है….!!
यूं ही नहीं गूंजती किल्कारीयां घर आँगन के हर कोने मे..!… जान हथैली पर रखनी पड़ती है ‘माँ’ को ‘माँ’ होने मे…!!
ऐ अंधेरे देख ले, मुँह तेरा काला हो गया, माँ ने आँखे खोल दी, घर में उजाला हो गया…
Check This :
0 comments:
Post a Comment